Allama Mohammad Iqbal November 21, 2011
Posted by sultanather in Uncategorized.trackback
Zinda Quwat thi Jahan main yeh he Tauheed Kabhi
Aaj kia hai? Faqat aik masalae Ilam o Maqam
Qoom kia cheez hai, Qomoon key Imamat kia hai
Is ko kia janeen yeh becharey do rakat key Imam
Nasha pila key girana tu sub ko ata hai
Maza tu tub hai keh girtoon ko thaam ley saaqi
Kutey hai raat hungama gistry main tery
Sehar qareeb hai, Allah ka naam ley saqi
Sheer mardoon sey huwa baisha e tahqeeq tahi
Reh gye Sufi o Mullah key ghulam aye saqi
Ishq key taigh e Jigardar chura ley kis ney
Ilam key haath main khali hai niyam aye saqi
Sauda gari nahin yeh Ibadat khuda key
O bey khabar!Jaza key tamana bhi choor dey
Waaiz saboot laye jo mai key jawaz main
Iqbal ko yeh zid hai key peena bhi choor dey
Bayan main nuqta e tauheed aa tu sakta hai
Tery dimagh main butkhana ho tu kia kahye
Muqam e Fikr kitna buland hai shahi sey
Tery nigah ghulamana ho tu kia kahye
Misl e Boqaid hai gunchey main, Pareshan ho ja
Rukht e burdoosh hua hai,Chamanistan ho ja!
Hai tunak maya tu zarey sey bayaban ho ja!
Naghma e Mauj sey hungama e Taufan ho ja!
Her durdman dil ko rona mera rula dey,
Baihosh jo parey hain, shayad inhey jaga dey …
Allama Iqbal
Comments»
No comments yet — be the first.